मंगलवारी चतुर्थी महिमा
जाता है |
तो मंगल की चतुर्थी में मैं तो चाहूँगा आप सारे काम धंधे से फारक होकर (छुट्टी लेकर) मंगल की चतुर्थी को अपना एक कमरा (फिनाइल की अपेक्षा) गौ झरण से साफ सुथरा करके, यह न हो तो गंगा जल का प्रयोग करें| और गाय के गोबर से या गौ-चन्दन अगरबत्ती से कमरे को सात्विक बना दीजिये और जप करें| कुटुंब के लोग करें या एक आदमी करे| जप ध्यान करोगे तो वह जप, ध्यान , मौन शास्त्र-अध्ययन …. आरोग्य का जप करोगे तो आरोग्य जप सिद्धि हो जाएगी| एका-एक कोई मुसीबत को वापस भेजने वाला मन्त्र का जप करोगे तो एका-एक आई मुसीबत वापस भी भेज सकते हैं या जिसने भेजी है उसको सौगात भी भेज सकते हैं, जय राम जी की|

- Mangalwari Chaturthi – 15Jul2014
Mangalwari Chaturthi Mahima
Jaise surya grahan ko dus lakh guna fal hota hain vaise hi mangalwari chaturthi ko hota hain. Bahut mushkil se aisa yog aata hain. Isko Angarak Chaturthi bhi kehte hain. Matsya Puran , Narad Puran aadi shastr mei iski bhari mahima hain. Is din chhutti lelo toh aur achcha hain. Go jharan se chhota sa kamra saaf-suf karke gau chandan agarbati jalakar yeh din Jap, Maun aur Dhyan mei raho.
Aap sansaari majduri karke jo-jo nahi paa rahein hain vah sab aapke liye aasan ho jayega,bhagvad prapti bhi aasan ho jayegi.
Is din agar koi jap,daan,dhyan,sanyam karta hain toh vah dus laak guna prabhavshali hota hian, aisa Ved Vyasji ne kaha hain. Ved Vyasji ka vachan saar-garbhit maana jaata hain. Chandra grahan mei kiya hua jap,tap,daan,puny laakh guna maana jaata hain . Surya grahan mei kiya hua jap-tap dus laakh guna maana jaata hain. Somvati Amavasya,Ravivar ki Saptami , Mangalvar ki Chaturthi . . . . Aur yeh Mangalvar ki Chaturthi jab bhi aati hain iski ek visheshta hoti hain , Angaarak chaturthi hain yeh. Yeh angaarak chaturthi kabhi kabhaar aati hain.
Toh Mangal ki Chaturthi, Mei toh chaahunga aap saare kaam-dhande se faarak hoke Mangal ke chaturthi ko apna ek kamra (phenyl ke apeksha ) gau-jharan se saaf sutra karke ,yeh na hon toh ganga jal ka istemal karein. Aur gaay ke gobar se ya Gau-Chandan agarbatti se kamre ko satvic bana dijiye aur jap kare. Kutumb ke log karein ya ek aadmi karein. Jap-Dhyan karoge toh vah Jap, Dhyan, Maun, Shastra adhyayan . . . . Aarogya ka jap karoge toh aarogya jap siddhi ho jayegi. Eka ek aayi musibat ko vaapas bhejne vaali mantra ka jap karoge toh eka-ek aayi musibat vaapas bhi bhej sakte hain ya jisne bheji hain usko saugat bhi bhej sakte hain. Jai Ramji Ki
Mangal ki Chaturthi ko jap karna,Ishwar ki aur padna , Yog Vashisth ka vairagya prakaran padna bas ishvar prapti ke liye rona-pukarna . Rona nahi aaye toh jhuth-muth ka rona ki prabhu tumhari priti de do , dambh se bachao , irshaa se bachao, abhiman se bachao, asatya se bachao, jib ki lolupta se bachao, Vyarth ki bakvas se bachao, Vyarth ki jhaaka-jhaaki se bachao, vyarth ki hast chanchalya (naak khodna,tinka todna ,aadi) se bachao (yeh nich man ki pehchaan hain), bin jaruri bolte rahenge nahi is vyarth ki shaktiyon ko sarthak mei lagane ka sankalp karke Mangalwar ke Chaturthi ke din ko Maha Mangalmay bana lena.


Those who are troubled with numerous issues at home, or are diseased, physically weak, they should recite the following:

You must be logged in to post a comment.